Tuesday 16 October, 2007

jaago



Yaha aapne suna hai
Yaha aapne padha hai
Bahut varshon se chalta aaya-
Yaha ek inquilab hai.

Thukrayie nahi ise-
Kahi thokar kha chuke.
Ab thokar nahi khani-
Isliye likh rahe.

Partantra me kaha tha-
Bharat chhodo, swadeshi apnaao.
Swatantra mein yehi kiya-
Bharat bhi chhoda, videshi bhi apnaaya.

Udhar mein jaakar swadeshi apnaaya!
Sanskritik mandal basaya,
Mandir-Masjid banvaya…
Par Bharat ke liye kacchu na kiya.

Udhar mein jakar unako dosh diya!
Mandir-Masjid-sanskritik mandal
Banavane ke liye-
Raaste par utar aaya!
Par Bharat ke liye kacchu na kiya.

Udhar mein jaakar-
Bharat ko doshi thaharaaya
Ki Bharatvaasio ki neenda
Swades ki taraf anguliyaa bhi uthayi-
Bhool hi gaye- chaar anguliya apni taraf hi uthi!

Khub piili pepsi-coke, khub piili bisleri-
Khub khaaya lays, khub khayi maagi.
Khub pahanaa nike, khub pahana levis-
Har din jaate hai mcd’s pizzahut
Har din hote hai barista.

Par- bhool gaye plaachimada- bhool gaye dahanu!
Bhool gaye nandigram- bhoolhi gaye singur!
Bhool gaye raigad- bhool bhi gaye pen!



Arrey jaago, jaago sonewaalo jaago-
Daur naya nahi hai, yaha daur purana hai.
Naye package mein daur purana-
Hamare saamne aaya hai.

Thukra do is package ko-
Apnaao naariyal nimbu paani.
Juhu beach ka gola, pune ka chivda.
Mathura ka petha, kolkata ka rossogulla.
Inhi ko apnaao bhai, inhi ko aapnaao.

Pukar rahi hai yaha mitti-
Ab vakt aaya hai.
Karz hampar hai mitti ka-
Ada karna hi farz hai.

Yaha Bharat ki jaroorat hai-
Yehi samaj ki maang hai.
Hum tum yahi par rahe-
Aur desh ke liye-
Kacchu to Karen.

Jaago…

-- Sachidananda.
(Eternal Happiness)

No comments: